Ek Ghar tha?

Ek ghar tha..

Ghar ki chhat par taala tha..
Bahar jana mana tha.. 
andar ana mana tha..
Sannata tha..

Ghar ki neenv mazboot thi
Ab tak
Jane kab tak

Ghar k mukhiya zinda the
Haalat dekh sharminda the
Angootha lgane ko taiyar
Bantware ki raah dekhte rishtedar

Ek kamre mein khane k lale
Dooje mein sone k taale
Ek seedhi sheeshe ki
Ek peedhi ab b peeche thi

Awaaz, soch, sapne, Apne
Angan mein laashon ka dher
'Anekta mein ekta' Ki maut
Saryu kinare ghanto ka shor

Hilti thi diwarein ab
Khidkiyan bhi kaanpti sab
Waqt se ldta, girta, sambhalta
Nayi subah ki raah ko takta

Ek ghar tha?

Comments